Tere lehje pe chaayi rut hai barfaani Nahi jaati
Tabhi chaahat ki waadi se bhi sunsaani nahi jaati
Tere Mas'hoor lafzoN ne meri palkoN pe jo rakhkhay
Ab in palkoN se un khwaabooN ki
taabaani nahi jaati
HawaayeN taiz haiN aanchal ka pallu daikhti rehna!
Keh kaanToN ki chaman maiN bhi
prehsni nahi jaati
Jo machli phaiNk di daryaa ki lehroN ne kinaare par
TaRapti hay magar phir daikhnay paani nai jaati
Bhalay dushwaar hoN raahaiN hawaayeN bhi mukhalif hoN
Muhabbat se kisi soorat khush imkaani nahi jaati
Har ik din unginat jazboN ko dil maiN dafn karta hooN
Ghazal se phir bhi jazboN ki faraawaani nahi jaati
HazaaroN raNg maiN malboos daikha jaan-e-jaan ham ne
Tere shaanoN se laikin ik chunar dhaani nahi jaati
Sharaab-e-talkhi-e-haalaat pi lainay se mushkil main
"Bohat jaani huwi soorat bhi pehchaani nahi jaati"
Utar jaati hay jin saaNsoN se khushbu WARD ki dil maiN
wohaaN khushbu teri bhi raat ki raani nahi jaati
Post a Comment