Tere ik dard k aagay ghum yun saray choot jatay hein
Ke sooraj jab ubharta hai to taaray choot jatay hein

main aah,abb jaan jata hoon muqadar aisay bachon ka
ke jin ke haath se aksar, ghubaray choot jatay hein

kaho raah-e-mohabbat mein karri qeemat bhi hai koi
kaha haan iss mohabbat mein, pyaray choot jatay hein

mere haaton se choota hai faqat daaman sabar ka hi
wagarna ishq mein takht-o-haazaaray choot jatay hein

taakeed-e-zabt se pehlay kabhi tum ye bhi socho to
ke kyun ye hoslay aksar hamaray choot jatay hein

phir uske baad kaatib ne faqat likha
"judai" aur
yun haaton se m'rey ye haath tumharay choot jatay hein

ik toota shaakh ka patta bari hasrat se kehta hai
ke safr-e-zeest mein aakhir, saharay choot jatay hein

aseer-e-ishq hum thehray humen fikr-e- jahaa'n hi kya
ghum-e-jaana mein to sood-o-khasaray choot jatay hein

meri SehraNaward her shab mein barpa hai toofaan-e-ashk
ke aankhen phoot'ti hein aur kinaray choot jatay hein

Post a Comment

 
Top