Aanchal se mera khoon utarta bhi to kaisay
Wo kar kay mujhay qatl mukarta bhi to kaisay

YaadoN ki hawaa aankh se takra kay jo guzri
Baadal ne barasna tha thahartaa bhi to kaisay

Jo waqt kay saath aur bhi ho jaata hay Gehra
Wo zakhm-e-nehaaN waqt se bharta bhi to kaisay

ShaakhoN maiN meri Ashk bahaaroN ne piroye
Phir aisi bahaaroN pe maiN marta bhi to kaisay

Ambar bhi bhula daita hay TooTay huway Taaray
MaiN kya hooN mujhay yaad wo karta bhi to kaisay

NaadaaN thay hameeN sar pe kafan baandh kay aaye
Fahmida tha wo jaaN se guzarta bhi to kaisay

Jo WARD rha fasl-e-khizaaN maiN bhi shagufta
wo baad-e-bahaari se bikharta bhi to kaisay

Post a Comment

 
Top