Har ek maqaam se aage guzar gaya mah-e-nau,
kamaal kis ko mayasar hua hai be-tag-e-dau.
Nafas ke zor se woh ghuncha wa hua bhi toh kya,
jise naseeb nahin aaftaab ka partav.
Nigaah paak hai teri toh paak hai dil bhi,
ki dil ko haq ne kiya hai nigaah ka pairav.
Panap saka na khayaabaan mein lala-e-dil soz,
ki saazgaar nahin ye jahaan-e-gandum-o-jau.
Rahe na aibak-o-ghauri ke maarke baaqi,
humesha taaza-o-sheerin hai naghma-e-khusro. !!

Post a Comment