Sitaaron se aage jahaan aur bhi hain,
abhi ishq ke imtihaan aur bhi hain.
Tahi zindagi se nahin ye fazaayen,
yahan saikadon kaarwaan aur bhi hain.
Qanaa.at na kar aalam-e-rang-o-boo par,
chaman aur bhi aashiyaan aur bhi hain.
Agar kho gaya ek nasheman toh kya ghum,
maqaamaat-e-aah-o-fughaan aur bhi hain.
Tu shaaheen hai parwaaz hai kaam tera,
tere saamne aasmaan aur bhi hain.
Issi roz-o-shab mein ulajh kar na reh jaa,
ki tere zamaan-o-makaan aur bhi hain.
Gaye din ki tanha tha main anjuman mein,
yahan ab mere raazdaan aur bhi hain. !!

Post a Comment

 
Top