Khuda Jaane tumhaare zehan mein kya hai?
Mere baare mein tum kya sochti ho keh nahi sakta ..
Mere baare mein tum kya sochti ho keh nahi sakta ..
Magar main is liye milney se katraata hun tum se ,
Ki woh baaten jo hum likhte hain apne khat mein chaahat se ..
Ki woh baaten jo hum likhte hain apne khat mein chaahat se ..
Woh baaten aur baaten hain ,
Woh baaten aisi baaten hain ki bas baaten hi baaten hain..
Woh baaten aisi baaten hain ki bas baaten hi baaten hain..
Haqeeqat mukhtalif hai aisi baaton se ,
Haqeeqat munkashif hoti nahi alfaaz likhne se ..
Haqeeqat munkashif hoti nahi alfaaz likhne se ..
Zubaani guftgoo se bahami izhar-o arz-e haal kerne se ,
Bahut si aisi baaten hain ..
Bahut si aisi baaten hain ..
Jinhen sunne ko kaano ki nahi aankhon ki haajat hai ,
Agar tum mujh se milne par bahut israar kerti ho ..
Agar tum mujh se milne par bahut israar kerti ho ..
Toh phir ek shart hai ..
Ek lafz bhi kehna na hothon se ..
Ek lafz bhi kehna na hothon se ..
Faqat aankhon se aankhen guftgoo karti rahen ,
Khala apne sawaalon ka ..
Khala apne sawaalon ka ..
Inn aankhon ki sadayen khud – bakhud bharti rahengi ,
Agar milna zaroori hai ..
Agar milna zaroori hai ..
Toh chhoti si meri yeh shart apne zehan mein rakhna ….!!
Post a Comment