Woh aa ke khwaab mein taskeen-e-iztiraab toh de,
wale mujhe tapish-e-dil majaal-e-khwaab toh de.
Kare hai qatl lagaawat mein tera ro dena,
teri tarah koi tegh-e-nigah ko aab toh de.
Dikha ke jumbish-e-lab hi tamaam kar hum ko,
na de jo bosa toh munh se kahin jawaab toh de.
Pila de ouk se saaqi jo hum se nafrat hai,
pyala gar nahin deta na de sharaab toh de.
Asad’ khushi se mere haath paanv phuul gaye,
kaha jo uss ne zara mere paanv daab toh de.
Ye kaun kahwe hai aabaad kar humen lekin,
kabhi zamaana muraad-e-dil-e-kharaab toh de. !!

Post a Comment

 
Top