Kabhi kabhi mere dil mein khyaal aataa hai..
Ki zindagi teri zulfon ki naram chhaaon mein,
guzrne paati toh shaadaab ho bhi saktii thi.
Ye teeragi jo meri zeest ka muqaddar hai,
teri nazar ki shuaaon mein kho bhi sakti thi.
Ajab na tha ki main begaana-e-aalam ho kar,
teri jamaal ki raanaaiyon mein kho rehta.
Tera gudaaz badan, teri neembaaz aankhen
inhin haseen fasaanon mein mahv ho rehta.
Pukaarti mujhe jab talkhiyaan zamaane ki,
tere labon se halaavat ke ghoont pee leta.
Hayaat cheekhti phirti barhana- sar aur main,
ghaneri zulfon ke saaye mein chhup ke jee leta.
Magar ye ho na saka aur ab ye aalam hai..
ki tu nahin.. tera ghum, teri justajoo bhi nahin.
Guzar rahi hai kuchh is tarah zindagi jaise,
isey kisi ke sahaare ki aarzoo bhi nahin.
Zamaane bhar ke dukhon ko laga chuka hun gale,
guzar reha hun kuchh anjaani rah-guzaaron se.
Muheeb saaye meri simt badhte aate hain,
hayaat-o maut ke purhaul khaarzaaron se..
Na koi jaada, na manzil, na roshni ka suraagh
bhatak rahi hai khalaaon mein zindagi meri.
Inhi khalaaon mein reh jaaunga kabhi kho kar,
main jaanta hun meri hum-nafas magar yun hi..
Kabhi kabhi mere dil mein khyaal aata hai …….

Post a Comment

 
Top